Saghar Sidiqui
saghar sidiqui
(ghazal)
Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya
Apnay Ujray Huay Gulshan Ko Bohat Yaad Kiya
Jab Kabhi Gardish-e- Taqdeer Ne Ghera Hai Hamain
Gaisua-e- Yaar Ki Uljhan Ko Bohat Yaad Kiya
Shama Ki Jot Pe Jaltay Huay Parwanon Ne
Ik Tere Shola Daman Ko Bohat Yaad Kiya
Jis Ke Mathay Pe Nayee Subah Ka Jhoomar Hoga
Hum Ne Uss Waqt Ki Dulhan Ko Bohat Yaad Kiya
Aaj Tootay Huay Sapnon Ki Bohat Yaad Aayee
Aaj Beetay Huay Sawan Ko Bohat Yaad Kiya
Hum Sar-e- Tor Bhi Mayoos-e- Tajalli Hi Rahay
Is Dar-e- Yaar Ki Chilman Ko Bohat Yaad Kiya
Mutmayeen Ho Hi Gaye Dam-o- Qafas Main Saghar
Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bohat Yaad Kiya
(saghar sidiqui)
(ghazal)
Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia
Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Dia
Har Mussarat Gham-e- Deeroze Ka Unwaan Bani
Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Dia
An Gint Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi
Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Dia
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Dia
Jin Se Afsana -e -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi
In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Dia
Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi
Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Dia
Haaay Aadab-e- Mohabbat Ke Takazay Saghir
Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Dia
{saghar siddiqui}
saghar sidiqui's
saghar sidiqui1
saghar sidiqui 2
saghar sidiqui
Comments
Post a Comment